ЁЯЦе️ CODING KYA HAI ? JANIYE IS JAADUI DUNIYA KE BARE MEIN AASAN SHABDON MEIN !
PUBLISHED ON:-3 JUNE 2025
AUTHOR:-TECH SAMAJH WITH SPK
(SANTOSH PRASAD KUSHWAHA)
ЁЯЩПNamaskar ,Doston ,main aapka Priya Mitra tech samajh with SPK ,
Doston main aaj ek aise topic per baat karna ja raha hun jiska Naam Hai" coding" kya hai ? ya coding kise kahate Hain ? chaliye is baton ko samajhte Hain yah bahut hi aasan hai coding sikhana bahut hi saral Hai aakhir kaise, chaliye baat karte hain-
ЁЯФ░ Parichay ( introduction):-
Doston kya aapane kabhi socha Hai ki ATM machine, game ya mobile app, website, kam karte Hain to karte hain kaise? Unke piche ek aisi Bhasha Hoti Hai jise Insan computer se baat karne ke liye istemal karta hai aur usi ko ham computer ke bhasha mein kahate Hain" CODING".
Doston coding Aaj ki duniya ki Sabse jaruri skills mein se ek hai chahe aap ko bhi Kam karne Wale Ho chahe aap Chhatra Ho ya aap naukari ki talash mein Ho ya Koi naya skill sikhana chahte ho- coding aapke bhavishya ko behtar banaa sakti hai.
ЁЯдФ Coding kya hoti hai ?(what is coding in Hindi ?)
Saral shabdon mein kahe to-coding computer ko nirdesh (instructions) Dene ki ek prakriya Hai.
Aaj ke Dinon mein ham log jo bhi computer ya mobile per karte Hain- udaharan ke taur per Instagram chalana, YouTube dekhna ya koi game khelna-yah sab Kisi Na Kisi Ne coding karke banaya.
Udaharan ke liye:
Yadi aap computer se kuchh kahen Jaise ,-: bhai mere liye koi chij bnao Jaise koi button bnao ya koi Chitra banaa aadi aadi to vah is baat Ko sirf coding ke jarie hi samajh Sakta
ЁЯТб Aakhir coding kyon sikhana chahie?
1. Career ke naye mauke isase khulate Hain (software engineer, wave developer, app developer aadi)
2. Coding ke jarie aap khud ki vyavasayukt ya app banaa sakte hain.
3. Sochne aur samasyaen HAL karne ki kshamta isase badhati hai.
4. Freelancing aur work from home ke mauke milte Hain.
5. Taknik ki duniya Ko samajhne mein madad milati.
ЁЯЫа️⚒️
Coding kahan istemal hoti hai?
Sathiyon coding ka istemal Ham nimnalikhit jagah kar sakte hain.
*Website :-(Jaise Amazon ,Google)
*Mobile apps:-( WhatsApp, Paytm)
*Games (free fire, pubg)
*Robotics aur artificial intelligence
*Banks, railway ,healthcare . .. ine sabhi jagahon per Ham Inka istemal karte Hain.
ЁЯзСЁЯТ╗ Coding kaise sikhen:-
Doston yah dilchasp baat hai ki coding sikhana bahut hi aasan Ho Gaya
Iske liye koi bahut mahangi degree ya coaching ki jarurat nahin Hoti.
Shuruaati bhashaen (beginners friendly languages):
*HTML and CSS (website designer ke liye)
*Java script (interactive websites)
*Python (sabse aasan aur popular bhasha)
*Scratch (bacchon ke liye aasan coating)
ЁЯОУ Coding sikhane ke liye best free platform:-
1. W3school-basic HTML, CSS,JS
2. Code.org :- bacchon ke liye shandar platform
3. Freecodecamp.org-yah bilkul free hai
4. YouTube channel (Hindi mein):
*Apna college
*Code withHarry
*MySirG
ЁЯза
Doston ab ek jigyasa jagati hai
Kya mujhe coding sikhani chahie?
Agar aapke man mein yah sawal uthata Hai ki:"maine kabhi coding nahin ki"-to koi baat nahin.
Coding aisi chij hai jise har Koi Sikh sakta hai-umra gender ya background Se Koi fark nahin padta.
Doston iski shuruaat karne ke liye sirf aur sirf teen chijen chahie:-
*Sikhane ki Prabal ichcha
*Internet connection
*Roj ek ghanta abhyas
ЁЯМЯ Nishkarsh ( conclusion):-
Doston coding shift takniki logon ke liye nahin-yah ab har Insan ke liye ek jaruri skill Banti ja rahi hai
Agar aap aaj se sikhana shuru karte Hain, to aane Wale samay mein aap ek behtar carier, nai soch aur aatmnirbharta ki or badh sakte hain.
To doston FIR der kis baat ki? Aaj Se Hi coding sikhana shuru Karen aur apne digital bhavishya ki neenv rakhen!
ЁЯЩПЁЯЩП Sathiyon ant mein main aapse yahi kahana chahunga ki aapko hamara yah blog kaisa laga kripya niche comment Karen shukriya.
рдЯिрдк्рдкрдгिрдпाँ
рдПрдХ рдЯिрдк्рдкрдгी рднेрдЬें